Our Sponsored

Your Ad Here

Tuesday, May 24, 2011

Mirza Ghalib Gazals


1. Har ek baat pe kehte ho tum ke 'too kya hai' 
tumheen kaho ke yeh andaaz-e-guftgoo kya hai

na shole meiN yeh karishma na barq meiN yeh ada
  koee  batao  ki woh shoKH-e-tund_KHoo  kya  hai

yeh rashk  hai ki wo hota hai ham_suKHan tumse
  wagarna   KHauf-e-bad_aamozi-e-adoo   kya  hai

chipak raha hai badan par lahoo se pairaahan
hamaaree  jeb ko ab  haajat-e-rafoo  kya hai

jalaa hai jicm jahaaN dil bhee jal gaya hoga
kuredate  ho jo ab  raakh,  justjoo kya  hai

 ragoN meiN  dauDte firne  ke ham naheeN qaayal
jab aaNkh hee se na Tapka to fir lahoo kya hai

woh cheez jiske liye hamko ho bahisht azeez
siwaay baada-e-gul_faam-e-mushkaboo kya hai

piyooN sharaab agar KHum bhee dekh looN do chaar
yeh sheesha-o-qadah-o-kooza-o-suboo   kya  hai

rahee na taaqat-e-guftaar, aur agar ho bhee
to kis ummeed pe  kahiye ke aarzoo  kya hai
        
bana  hai  shaah ka musaahib, fire hai itaraata
wagarna shehar meiN 'GHalib' kee aabroo kya hai

#########################################

2. Dil-e-naadaaN tujhe huaa kya hai 
aaKHir is dard  kee dawa kya hai      
ham haiN mushtaaq aur woh bezaar
ya ilaahee ! yeh maajra kya  hai

main bhee munh mein zabaan rakhta hoon
kaash !   poocho  ki "muddaa kya hai" 

jab ki tujh bin naheen  koee maujood
fir ye hangaama, 'ei KHuda ! kya hai

ye  paree chehara log  kaise haiN 
GHamza-o-ishwa-o-'adaa   kya  hai 
        
shikan-e-zulf-e-ambaree   kyoN hai 
nigah-e-chashm-e-soorma sa kya hai
   
sabja-o-gul kahaaN se aaye haiN 
abr kya cheez hai, hawa kya hai 
     
hamko unse wafa ki hai ummeed
jo naheeN jaante wafa kya hai

"haaN bhala kar tera bhala hoga"
aur darvesh kee  sada  kya  hai 

jaan tum  par nisaar karta  hooN
   maiN naheeN jaanata duaa kya hai

maiNe maana ki kuchch naheeN 'GHalib'
muft  haath  aaye  to  bura  kya hai 


#########################################

3. Ye na thee hamaaree qismat ke wisaal-e-yaar hota
  agar  aur  jeete  rehte   yahee   intezaar  hota
        
tere  waade par jiye ham  to ye jaan jhooT jaanaa
ke  KHushee se  mar na jaate  agar 'eitabaar hota
  
teree naazukee se jaana ki bandha tha 'ehed_booda
kabhee  too  na toD  sakta  agar  oostuwaar  hota
       
koee mere  dil se pooche tere teer-e-neemkash ko
ye KHalish kahaaN se hotee jo jigar ke paar hota
    
ye kahaaN ki dostee hai ke bane haiN dost naaseh
koee  chaarasaaz  hota,   koee  GHamgusaar  hota
   
rag-e-sang se Tapakta wo lahoo ki fir na thamta
jise GHam samajh rahe  ho, ye agar sharaar hota

GHam agarche jaaN_gulis hai, pe kahaaN bachaiN ke dil hai
GHam-e-ishq    gar   na   hota,    GHam-e-rozgaar hota
    
kahooN kis se maiN ke kya hai, shab-e-GHam buree bala hai
mujhe   kya   bura   tha   marna ?  agar ek baar  hota

hue mar ke ham jo ruswa, hue kyoN na GHarq-e-dariya
na  kabhee janaaza  uThata, na  kaheeN mazaar hota

use kauN  dekh  sakta  ki yagaana  hai wo yaktaa
jo dooee ki boo bhee hotee to kaheeN do chaar hota

ye   masaail-e-tasawwuf,  ye  tera bayaaN  'GHalib' 
tujhe ham walee samajhate, jo na baada_KHwaar hota

#########################################


    

No comments:

Post a Comment