1. Har ek baat pe kehte ho tum ke 'too kya hai'
tumheen kaho ke yeh andaaz-e-guftgoo kya hai
na shole meiN yeh karishma na barq meiN yeh ada
koee batao ki woh shoKH-e-tund_KHoo kya hai
yeh rashk hai ki wo hota hai ham_suKHan tumse
wagarna KHauf-e-bad_aamozi-e-adoo kya hai
chipak raha hai badan par lahoo se pairaahan
hamaaree jeb ko ab haajat-e-rafoo kya hai
jalaa hai jicm jahaaN dil bhee jal gaya hoga
kuredate ho jo ab raakh, justjoo kya hai
ragoN meiN dauDte firne ke ham naheeN qaayal
jab aaNkh hee se na Tapka to fir lahoo kya hai
woh cheez jiske liye hamko ho bahisht azeez
siwaay baada-e-gul_faam-e-mushkaboo kya hai
piyooN sharaab agar KHum bhee dekh looN do chaar
yeh sheesha-o-qadah-o-kooza-o-suboo kya hai
rahee na taaqat-e-guftaar, aur agar ho bhee
to kis ummeed pe kahiye ke aarzoo kya hai
bana hai shaah ka musaahib, fire hai itaraata
wagarna shehar meiN 'GHalib' kee aabroo kya hai
#########################################
2. Dil-e-naadaaN tujhe huaa kya hai
aaKHir is dard kee dawa kya hai
ham haiN mushtaaq aur woh bezaar
ya ilaahee ! yeh maajra kya hai
main bhee munh mein zabaan rakhta hoon
kaash ! poocho ki "muddaa kya hai"
jab ki tujh bin naheen koee maujood
fir ye hangaama, 'ei KHuda ! kya hai
ye paree chehara log kaise haiN
GHamza-o-ishwa-o-'adaa kya hai
shikan-e-zulf-e-ambaree kyoN hai
nigah-e-chashm-e-soorma sa kya hai
sabja-o-gul kahaaN se aaye haiN
abr kya cheez hai, hawa kya hai
hamko unse wafa ki hai ummeed
jo naheeN jaante wafa kya hai
"haaN bhala kar tera bhala hoga"
aur darvesh kee sada kya hai
jaan tum par nisaar karta hooN
maiN naheeN jaanata duaa kya hai
maiNe maana ki kuchch naheeN 'GHalib'
muft haath aaye to bura kya hai
#########################################
3. Ye na thee hamaaree qismat ke wisaal-e-yaar hota
agar aur jeete rehte yahee intezaar hota
tere waade par jiye ham to ye jaan jhooT jaanaa
ke KHushee se mar na jaate agar 'eitabaar hota
teree naazukee se jaana ki bandha tha 'ehed_booda
kabhee too na toD sakta agar oostuwaar hota
koee mere dil se pooche tere teer-e-neemkash ko
ye KHalish kahaaN se hotee jo jigar ke paar hota
ye kahaaN ki dostee hai ke bane haiN dost naaseh
koee chaarasaaz hota, koee GHamgusaar hota
rag-e-sang se Tapakta wo lahoo ki fir na thamta
jise GHam samajh rahe ho, ye agar sharaar hota
GHam agarche jaaN_gulis hai, pe kahaaN bachaiN ke dil hai
GHam-e-ishq gar na hota, GHam-e-rozgaar hota
kahooN kis se maiN ke kya hai, shab-e-GHam buree bala hai
mujhe kya bura tha marna ? agar ek baar hota
hue mar ke ham jo ruswa, hue kyoN na GHarq-e-dariya
na kabhee janaaza uThata, na kaheeN mazaar hota
use kauN dekh sakta ki yagaana hai wo yaktaa
jo dooee ki boo bhee hotee to kaheeN do chaar hota
ye masaail-e-tasawwuf, ye tera bayaaN 'GHalib'
tujhe ham walee samajhate, jo na baada_KHwaar hota
#########################################